Friday, March 31, 2006

kuch katre nazm ke...

Aao Phir Nazm Kahen.
Phir Kisi Dard Ko Sahla Ke Suja Le Ankhen..
Phir Kisi Dukhti Rag Se Chhua De Nashtar...
Ya Kisi Bhooli Huee Raah Pe Mudkar .
Ek Baar Naam Lekar Kisi Hamnam Ko Awaz Hi De Le..
Phir Koi Nazm Kahen.......



"Baad muddat usse dekha logo.....
Woh zara bhi nahi badla logo
Khush na tha mujhse bichhadd kar woh bhi
Uske chehre par likha tha logo
Usski aankhen bhi kahe deti theen
Raat bhar woh bhi na soya tha logo
Ajnabi ban ke jo guzra hai abhi
Thaa kisi waqt mein woh apna logo
Dost toh khair kaun kis ka hai
Usse dushman bhi kabhi na samjha logo.."



some of my fav..

ALAAV (gulzaar)

Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar hamne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk see shaakhien kaati
Tumne bhi gujre hue lamhon ke patte tode
Meine jebon se nikali sabhi sukhi nazme
Tumne bhi haathon se murjhaaye hue khat khole
Apnee in aankhon se meine kai maanze tode
Aur haathon se kai baasi lakeeren phenki
Tumne palkon pe nami sookh gayee thee, so gira di
Raat bhar jo bhi mila ugte badan par humko
Kaat ke daal diya jalte alaawon main use
Raat bhar phoonkon se har lau ko jagaye rakha
Aur do zismon ke indhan ko jalaye rakha
Raat bhar bujhte hue rishte ko taapa humne......






door tak kon saath chalta hai
dosti mai to fareb palta hai
kiya bharosa terey wadon ka
tera wada to roz talta hai


PalkeN bhi chamak uthti haiN sote maiN hamaari
AankhoN ko abhi khwaab chhupane nahiN aate


Asmaan pe, baadalon mein, jaane kya saazish hui,
Mera ghar mitti ka tha, mere ghar pe hi baarish hui

Dhuaan banaake fiza mein uda diya mujhko
Main jal raha tha kisi ne bujha diya mujhko


Chand nikla tha per woh raat na thee pehli se
Yeah mulaqat, mulaqat na thee pehli see
Gham kuch kam tu howa aaj teray milnay say
Yeah alag baat thee key woh baat na thee pehli see



Aakhri rasm-e-ulfat bhi nibha di hum ne,
Kal shaam teree tasveer bhi jala di hum ne,
jo millta tha, karte the ziker tera,
Un logon se mulaaqat bhi ghata di humne..


aaj humney ye soch kar tum ko uu bholadiya,,
k tum ek mousam the jo apni muddat khattam kar k badal gaye,,
k tum ek khawab the jo aankh khultey hi bikhar gaye,,
k tum ek lamha the jo palak jhapaktey guzar gaye.



Bahaar bhi aaegi barsat bhi hojaegi,
Maikada hai to yahan raat bhi hojaegi,
Hum teri har sans pe marte hain,
zindagi rahi to mulaqat bhi hojaegi..

No comments: