Monday, April 17, 2006

gulzar aka sampooran singh

aadatan tum ne kar diye vaade
aadatan ham ne aitabaar kiyaa.

terii raahon mein baarahaa ruk kar
ham ne apanaa hii intazaar kiiyaa..

ab naa maangenge zindagii yaa rab
ye gunaah ham ne ek baar kiyaa...

..........

aankhon mein jal rahaa hai kyun bujhataa nahin dhuaan
uthataa to hai ghataa saa barasataa nahin dhuaan

chuulhaa nahin jalaaye yaa bastii hii jal gai
kuchh roz ho gaye hain ab uthataa nahin dhuaan

aankhon se poonchane se lagaa aanch kaa pataa
yun cheharaa pher lene se chhupata nahin dhuaan

aankhon se aansuon ke maraasim puraane hain
mehamaan ye ghar mein aaye to chubhataa nahin dhuaan

............

din kuchh aise guzaarataa hai koi
jaise ehasaan utaarataa hai koi

aainaa dekh ke tasallii hui
ham ko is ghar mein jaanataa hai koi

pak gayaa hai shazar pe phal shayaad
phir se patthar uchhalataa hai koi

phir nazar mein lahuu ke chinte hain
tum ko shaayad mughaalataa hai koi

der se goonjatein hain sannaate
jaise ham ko pukaarataa hai koi

........

ek paravaaz dikhai di hai
teri aawaaz sunai di hai

jis ki aankhon mein kati thi sadiyaan
usne sadiyon ki judaai di hai

sirf ek safaah palat kar us ne
beeti baaton ki safaai di hai

phir vahin laut ke jaanaa hogaa
yaar ne kaisi rihaai di hai

aag ne kyaa kyaa jalaayaa hai shab bhar
kitani Khus-rang dikhai di hai

...........

ek puraanaa mausam lauta yaad bhari puravaai bhi
aisaa to kam hi hotaa hai woh bhi ho tanahaai bhi

yaadon ki bauchhaaron se jab palakein bhigane lagati hain
kitani saundhi lagati hai tab maanjhii ki rusavaai bhi

do do shaklein dikhati hain is behake se aaine mein
mere saath chala aaya hai aap kaa il saudaai bhi

Khaamoshi kaa haasil bhi ik lambi si Khaamoshi hai
unki baat suni bhi hamane apni baat sunai bhi

......

main apne ghar mein hi ajanabi ho gaya hun aakar
mujhe yahan dekhakar meri rooh Dar gai hai
saham ke sab aarzooein konon mein ja chupi hain
lavein bujhaa di hain apne cheharon ki, hasaraton ne
ki shauq pehchanataa hi nahin
muraadein dahaliz hi pe sar rakh ke mar gai hain

main kis vatan ki talaash mein yun chala tha ghar se
ki apne ghar mein bhi ajnabi ho gaya hun aa kar

.......

nazm ulajhi hui hai seene mein
misre atke hue hain hothon par
udte-phirte hain titliyon ki tarah
lafz kaagaz pe baithate hi nahin
kab se baithaa hun main jaanam
saade kaagaz pe likh ke naam tera

bas tera naam hi mukammal hai
isse bahatar bhi nazm kya hogi

........

qadam usi mod par jame hain
nazar samete hue khadaa hun
junoon ye majboor kar raha hai palat ke dekhoon
Khudi ye kahati hai mod mud ja
agarche ehasaas keh raha hai
khule dareeche ke peechhe do aankhen jhaankti hain
abhi mere intezaar mein vo bhi jaagati hai
kahin to us ke goshaa-e-dil mein dard hoga
use ye zid hai ki main pukaaroon
mujhe taqaazaa hai vo bulaa le
qadam usii mod par jame hain
nazar samete hue khadaa hun

.......

saans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jaana bhi kya ravayat hai
koi aahat nahin badan mein kahin
koi saaya nahin hai aankhon mein
paanv behis hain, chalte jaate hain
ik safar hai jo behta rehta hai
kitne barson se, kitni sadiyon se
jiye jaate hain, jiye jaate hain

aadatein bhi ajeeb hoti hain

........

Quran haathon mein leke nabeenaa ek namaazii
labon pe rakhtaa tha
dono aankhon se choomtaa tha
jhukaake peshaani yun aqidat se choo raha tha
jo aayatan padh nahin saka
un ke lams mahasoos kar raha ho

main hairaan-hairaan guzar gaya tha
main hairaan hairaan Thahar gaya hun

tumhaare haathon ko choom kar
choo ke apni aankhon se aaj maine
jo aayatein padh nahin saka
un ke lams mahasoos kar liye hain

...............
...............

2 comments:

Anonymous said...

baby tu jhakaas hai.. bus.. yahi kehna mereko..

Anonymous said...

Kya baat hai....Godfather ....
ctrl+c and ctrl+v Acha kiya hai....hehe just kiddin...

lage raho tunna bai...!